Tuesday, 25 October 2016

Anokha tera yaar(Revised)

Dil se tujhko chahta behad,

Kaise kare izhaar,

Samajh see dur rehta yeh sabki,

Kya kare koi vichar,

Par har kaam ko karta aise,

Jaise hoo yeh kalakar,

Andhero see Bahar nikalta,

Anokha tera yaar,

Sadte sadte itna SADA ke,

Laga Diya Sab ko paar,

Thanda hua toh aise jaise,

Karta hai Sab Ko pyaar,

Kya koi isko samjhe ga ki,

Kya hai iska vichar,

Andhero see Bahar nikalta,

Anokha tera yaar,

Jisko Jo Chaha Suna diya,

Nahi kisi se kabhi darta,

Par Teri eek smile dekhne,

Ko iska Dil Marta,

Bolna chahta hai Jo tujhse,

Bolta nahi hai,

Yeh har kisi se Raaz Dil ke,

Kholta nahi hai,

Jinko par yeh sab batata hai,

Unko fir apna banata hai,

Har mushkil se har haal mein,

Unko fir yeh bachata hai,

Aur kya bataye kaise,

Andhera yeh dur bhagata hai,

Sab Ka bhala karne ka,

Accha iska vichar hai,

Andhero see bahar nikalta,

Anokha tera yeh yaar hai,

Jisko tujhse beinteha pyaar hai,

Jo lagata sabki naiya paar hai,

Woh upar wale ka bhi,

Iske sar par haath hai,

Yeh Woh yaar hai tera,

Jo nibhata sab ka saath hai,

Milne ki jisko tere sang saugaat hai,

Aate aate aa hi gaya,

Karke sabki soch ko paar,

Andhero see bahar nikalta,

Aaya gaya Anokha tera yaar!!!!!!!!!!!!!!!!

No comments:

Post a Comment