Dil se tujhko chahta behad,
Kaise kare izhaar,
Samajh see dur rehta yeh sabki,
Kya kare koi vichar,
Par har kaam ko karta aise,
Jaise hoo yeh kalakar,
Andhero see Bahar nikalta,
Anokha tera yaar,
Sadte sadte itna SADA ke,
Laga Diya Sab ko paar,
Thanda hua toh aise jaise,
Karta hai Sab Ko pyaar,
Kya koi isko samjhe ga ki,
Kya hai iska vichar,
Andhero see Bahar nikalta,
Anokha tera yaar,
Jisko Jo Chaha Suna diya,
Nahi kisi se kabhi darta,
Par Teri eek smile dekhne,
Ko iska Dil hai Marta,
Bolna chahta hai Jo tujhse,
Bolta nahi hai,
Yeh har kisi se Raaz Dil ke,
Kholta nahi hai,
Jis ko isne apna mana,
Khaya sab se dhoka,
Aur kisi ko bhi isne fir,
Kabhi nahi hai roka,
Ladta hai hasta hai,
Karta hai sab ko pyaar,
Andhero see bahar nikalta,
Anokha tera yaar...........
No comments:
Post a Comment