Dil se tujhko chahta behad,
Kaise kare izhaar,
Samajh see dur rehta yeh sabki,
Kya kare koi vichar,
Par har kaam ko karta aise,
Jaise hoo yeh kalakar,
Andhero see Bahar nikalta,
Anokha tera yaar,
Sadte sadte itna SADA ke,
Laga Diya Sab ko paar,
Thanda hua toh aise jaise,
Karta hai Sab Ko pyaar,
Kya koi isko samjhe ga ki,
Kya hai iska vichar,
Andhero see Bahar nikalta,
Anokha tera yaar,
Jisko Jo Chaha Suna diya,
Nahi kisi se kabhi darta,
Par Teri eek smile dekhne,
Ko iska Dil Marta,
Bolna chahta hai Jo tujhse,
Bolta nahi hai,
Yeh har kisi se Raaz Dil ke,
Kholta nahi hai,
Tere eek dum paas reh Kar bhi,
Tujhe Kuchh bolta nahi hai,
Badh jaata hai aage sab see,
Dil mein har eek Raaz chupaye,
Kaha ja Kar rukega yeh,
Ab kaun Ise samjhaye,
Har apne ko yeh khud se,
Bass dur Bhagata hai,
Tanhai mein har Lamhe ko yeh,
YU jee jaata hai,
Jaane Anjaane mein bhi Jo,
Lata Sab ki zindagi mein Bahar,
Andhero see Bahar nikalta,
Anokha tera yaar.........