Wednesday, 22 July 2020
learning at home
learning and living from home
Sunday, 23 February 2020
Aage badhta jaa
Apne Kal ko tu bhool ja
Bina Kuchh soche samjhe
Bass aage badh ja
Apne Kal ko tu bhool ja
Bina Kuchh soche samjhe
Bass aage badh ja
Bhool ja badh ja
Bhool ja badh ja
Par Bina bat kiye koi
Sab see aage badh ja
Mana tune bada Kuchh Saha hai
Par har Barr tu khoob Lada hai
Is pall ki aukaat Kya Jo
Tujhko rook payega
Kaun paida hua hai Aisa
Jo tujhe thook jayega
Teri yaadein Teri baatein
Tujhe hamesha bachati hain
Har airi Gehri bakwas see
Tujhe samjhati aur bachati hain
Hai Kya aur kaun Jo
Tera Dil dukhate hain
Kaun hai Jo Baar Baar
Tere Dil Ko YU hi sataye hain
Aur tu Masoom ban Kar
Sab Kuchh sehta jaata hai
Kyo nahi tu deta Jawab
Kiss se itna dar jata hai
Dil ke har khwaab ko
Kyo Dil mein daba Kar rehta hai
Jaha Kuchh kehna nahi chahiye hota
Wahi Kyo utla kehta hai
Par dastoor is duniya ka
Tujhe hamesha sikhata hai
Jiske paas aane ki sooche
Wahi Kyo dur tujhse jaata hai
KYA aisa bas tere sath hi
Hona hota hai har baar
Kyo raha tu sab ke liye badhiya
Aur sab tere liye bekaar
Chah leta tu bhi khuddari
TOH na hota tera samay bekaar
Na peeni padhti kabhi daaru
Na karna padta alcohol se pyaar
Par Kyoko ane Bana chuka hai
Daaru apna sacha yaar
Khud se kehta rehta hai
Kaisa koi yar aur kya hai Pyaar
Thursday, 3 October 2019
Yaar Ki Caaaaaar!!!!!!
Dil Toh majboor hai sala,
Ghar office office ghar khelta rehta hai,
Dil Toh majboor hai sala,
Ghar office office ghar khelta rehta hai,
Hafte dar hafte, Mahine Mahine,
Yuhi pelta rehta hai,
Dil Toh majboor hai sala,
Ghar office office ghar khelta rehta hai,
Dil Toh majboor hai sala,
Ghar office office ghar khelta rehta hai,
Hafte dar hafte, Mahine Mahine,
Yuhi pelta rehta hai,
Kabhi pade chutti toh aa jaaye rishtedaar,
Kabhi hona padta unpe Jane ko tayyar,
Kabhi pade chutti toh aa jaaye rishtedaar,
Kabhi hona padta unpe Jane ko tayyar,
Dil Toh majboor hai sala,
Ghar office office ghar khelta rehta hai,
Dil Toh majboor hai sala,
Ghar office office ghar khelta rehta hai,
Hafte dar hafte, Mahine Mahine,
Yuhi pelta rehta hai,
Dil Toh majboor hai sala,
Ghar office office ghar khelta rehta hai,
Dil Toh majboor hai sala,
Ghar office office ghar khelta rehta hai,
Hafte dar hafte, Mahine Mahine,
Yuhi pelta rehta hai,
Kabhi pade chutti toh aa jaaye rishtedaar,
Kabhi hona padta unpe Jane ko tayyar,
Kabhi pade chutti toh aa jaaye rishtedaar,
Kabhi hona padta unpe Jane ko tayyar,
Bade time Baad fir Yaad aaya ek Yaar,
Aur usse bhi zyada us Yaar Ki Caaaaaar,
Bade time Baad fir Yaad aaya ek Yaar,
Aur usse bhi zyada us Yaar Ki Caaaaaar,
Car hoti thi woh yar ki aisi,
Har hafte hum ghumate the,
Hafte bhar ki saving se,
Mil ke daru chakna late the,
Jo aur mil jaaye usko bhi pilate the,
Uska bhi ek peg bana kar,
Uski kahaniya sunte sunate the,
Chalte the fir gaane aise,
Kisi ki x toh kisi ka present Yaad dilate the,
Koi bolta tha chal Sutta jala,
Toh koi bola ja chicken le kar aa,
Kisi ko pani Mein kisi ko sode Mein,
Toh koi maare neat,
Kisi ko pani Mein kisi ko sode Mein,
Toh koi maare neat,
Tabhi bola ek baja sad song repeat,
Minute kab badle ghante mein,
Din se ho gayi sham,
Bottles hui khatam, Jebh bhi khali,
Dil ko mila thoda aaram,
Fir karke boond boond ikatha,
Banta tha joint akhri wala jaam,
Sip sip karke sab,
Ek ek ghoont lagate the,
Fir milenge jaldi Keh kar,
Sab nikal jaate the,
Khuda Jaane fir kaun kab mila tha,
Akhri baar jisne baanta Gila tha,
Khuda Jaane fir kaun kab mila tha,
Akhri baar jisne baanta Gila tha,
Aa gaye fir ghar toh so gaye,
Kal se wahi ghar office Mein khoo gaye,
Aa gaye fir ghar toh so gaye,
Kal se wahi ghar office Mein khoo gaye,
Dil Toh majboor hai sala,
Ghar office office ghar khelta rehta hai,
Dil Toh majboor hai sala,
Ghar office office ghar khelta rehta hai,
Hafte dar hafte, Mahine Mahine,
Yuhi pelta rehta hai,
Dil Toh majboor hai sala,
Ghar office office ghar khelta rehta hai,
Dil Toh majboor hai sala,
Ghar office office ghar khelta rehta hai,
Hafte dar hafte, Mahine Mahine,
Yuhi pelta rehta hai,
Kabhi pade chutti toh aa jaaye rishtedaar,
Kabhi hona padta unpe Jane ko tayyar,
Kabhi pade chutti toh aa jaaye rishtedaar,
Kabhi hona padta unpe Jane ko tayyar,
Dil Toh majboor hai sala,
Ghar office office ghar khelta rehta hai,
Dil Toh majboor hai sala,
Ghar office office ghar khelta rehta hai,
Hafte dar hafte, Mahine Mahine,
Yuhi pelta rehta hai,
Dil Toh majboor hai sala,
Ghar office office ghar khelta rehta hai,
Dil Toh majboor hai sala,
Ghar office office ghar khelta rehta hai,
Hafte dar hafte, Mahine Mahine,
Yuhi pelta rehta hai,
Kabhi pade chutti toh aa jaaye rishtedaar,
Kabhi hona padta unpe Jane ko tayyar,
Kabhi pade chutti toh aa jaaye rishtedaar,
Kabhi hona padta unpe Jane ko tayyar,
Bade time Baad fir Yaad aaya ek Yaar,
Aur usse bhi zyada us Yaar Ki Caaaaaar,
Bade time Baad fir Yaad aaya ek Yaar,
Aur usse bhi zyada us Yaar Ki Caaaaaar!!!!!!
Wednesday, 30 August 2017
Jeena sikhaya jaaye
Zindagi anmol hai,
Naseebo se milti hai,
Lakh chah lein kuch bhi hum,
Upar wale ki marzi se hi chal ti hai,
Toh kyo Humko pareshaan hona,
Jo bhi paya hai ek din hai khona,
Toh uthao phone aur,
Lagao kisi khaas ko,
Bin soche fir share kar do,
Dil ke apne har ehsaas ko,
Kyoki jo apne hote hain,
Woh hi saath nibhate hain,
Har gham mein har mushkil mein toh,
Woh hi hum ko hasate hain,
Toh kyo na apne jeene ka,
Maqsad aisa kuch banaya jaye,
Rahe sada khush hum khud mein,
Aur sabko aise Jeena sikhaya jaaye,
Kya rakha hai gham peene mein,
Yu ghut ghut kar jeene mein,
Akhir ik din sabne jana hai,
Chood jana apni yaado ka fasana hai,
Toh kyo na hum khushi manaye,
Aur yu sabko Jeena sikhaya jaye,
Akhir kyo darte hain hum,
Kyo Pal pal marte hain hum,
Jab pata hai ik din sabne jana hai,
Toh kyo unke naam ka gham manana hai,
Raho khush tum saath unke,
Pal khushiyo ke unko dete jao,
Jitna waqt mila hai tum ko,
Unki duayein lete jao,
Jab sab ab pata hai tum ko,
Toh kyo karate ho intezaar,
Karo nakki sab pal bhar mein hi,
Aur tum baant te chalo yu pyaar,
Gham se yu hi aage badh kar,
Kyo na khushiyon ko failaya jaye,
Aao mere saath muskuraao sabhi tum,
Aur Aise hi sabko Jeena sikhaya jaaye!!!!!!!!!!!
Tuesday, 25 April 2017
Sara jahaaa
Tenu rab ne banaya mere layi,
Mainu kehnda ae Sara jaha,
Tenu rab ne banaya mere layi,
Mainu kehnda ae Sara jaha,
Phave sab nu mai kari java na,
Par tere layi kar na wa Haaaaaaaaaaaaa,
Tenu rab ne banaya mere layi,
Mainu kehnda ae Sara jaha,
Tenu rab ne banaya mere layi,
Mainu kehnda ae Sara jaha,
Phave sab nu mai kari java na,
Par tere layi kar na wa Haaaaaaaaaaaaa,
Mai rukeya peya si rah tee ek,
Agge wadd ke tere tooon khada,
Lad da rehnda si sab toh mai,
Miss karda si kise nu badaa,
Mainu te si ae bhulekha,
Mere layi koi hor khada,
Es karke har pal mai ta,
Rehnda sab toh dur khada,
Par jab se tujhse mai mila hoon,
Pura hi mai badal gaya hoon,
Bijli aayi hai body mein aisi,
Har rang mein mai ab dhal gaya hoon,
Na jaagta hoon na soota hoon,
Saath tere khoya rehta hoon,
Soch taa hoon ab toh bas mai,
Tere sath hi raha karu,
Aur jo dikkat aaye dono par,
Bas mai hi woh saha karu,
Bhar du jholi teri ab mai,
Duniya bhar ki khushiyon se,
Aur keh du har gham har dukh se,
We are busy just stay away,
Bas ab aaja saath mere tu,
Tu aur mai ho jayenge hum,
Black and white si apni zindagi ko,
Full HD kar du, Teri kasam....
Tenu rab ne banaya mere layi,
Mainu kehnda ae Sara jaha,
Tenu rab ne banaya mere layi,
Mainu kehnda ae Sara jaha,
Phave sab nu mai kari java na,
Par tere layi kar na wa Haaaaaaaaaaaaa,
Tenu rab ne banaya mere layi,
Mainu kehnda ae Sara jaha,
Tenu rab ne banaya mere layi,
Mainu kehnda ae Sara jaha,
Phave sab nu mai kari java na,
Par tere layi kar na wa Haaaaaaaaaaaaa,
Mai rukeya peya si rah tee ek,
Agge wadd ke tere tooon khada,
Lad da rehnda si sab toh mai,
Miss karda si kise nu badaa,
Mainu te si ae bhulekha,
Mere layi koi hor khada,
Es karke har pal mai ta,
Rehnda sab toh dur khada,
Bas ab aaja saath mere tu,
Tu aur mai ho jayenge hum,
Black and white si apni zindagi ko,
Full HD kar du, Teri kasam....
Wednesday, 29 March 2017
Thaath
Zindagi hai hi ajeeb,
Ise sabse alag sunoge,
Jitna tum zyada jiyoge,
Utne Dauro see guzroge,
Har baar ashirwad hi nahi chahiye hota,
Kuch bar duaeyin lena bhi zaroori hai,
Kisi ko dukhi rehne ki aadat hoti hai,
Toh khush rehna bhi kuch logo ki majboori hai,
Har daur badalta rehta hai,
Jisse ek naya paigaam failta hai,
Sab har cheez se khush nahi hote,
Aur wahi kono mein hain chup kar rote,
Par Kyoki wooh bhi,
Zindagi ka hissa hai,
Bade ajeeb tarike se,
Likha gaya aisa kissa hai,
Sab ko sab kuch milta nahi,
Mil Jaata toh use paate kaise,
Jitne gham sahe uske bina,
Uska jashn hum manate kaise,
Woh daur hi kuch aur tha,
Jaha sab ko sab kuch milta tha,
Aaj toh aisa haal hai sab ka,
Jo Jhuka woh daba jo lada aage badha,
Sochne wali baat par,
Koi samay nahi bitaata,
Bas apne tarike se,
Sab ko apna nazariya dikhata,
Par Kyoki sab ki soch,
Ek jaisi nahi hoti,
Yehi kaaran hai ladaai ka,
Eek sunta nahi,
Ek maanta nahi.....