Zindagi hai hi ajeeb,
Ise sabse alag sunoge,
Jitna tum zyada jiyoge,
Utne Dauro see guzroge,
Har baar ashirwad hi nahi chahiye hota,
Kuch bar duaeyin lena bhi zaroori hai,
Kisi ko dukhi rehne ki aadat hoti hai,
Toh khush rehna bhi kuch logo ki majboori hai,
Har daur badalta rehta hai,
Jisse ek naya paigaam failta hai,
Sab har cheez se khush nahi hote,
Aur wahi kono mein hain chup kar rote,
Par Kyoki wooh bhi,
Zindagi ka hissa hai,
Bade ajeeb tarike se,
Likha gaya aisa kissa hai,
Sab ko sab kuch milta nahi,
Mil Jaata toh use paate kaise,
Jitne gham sahe uske bina,
Uska jashn hum manate kaise,
Woh daur hi kuch aur tha,
Jaha sab ko sab kuch milta tha,
Aaj toh aisa haal hai sab ka,
Jo Jhuka woh daba jo lada aage badha,
Sochne wali baat par,
Koi samay nahi bitaata,
Bas apne tarike se,
Sab ko apna nazariya dikhata,
Par Kyoki sab ki soch,
Ek jaisi nahi hoti,
Yehi kaaran hai ladaai ka,
Eek sunta nahi,
Ek maanta nahi.....
Wednesday, 29 March 2017
Thaath
Tuesday, 14 March 2017
Khushiyaan manawange :-):-)
Haal mere dil da mai
Das da reha,
Yada vich teriya mai
Vas da reha,
Hun ki tennu mai dassa,
Meri heart beat tu,
Kiwe tennu mai wakhawa,
Meri har ik need tu,
Kiwe tennu samjhawa,
Mai sab keh chuka ha,
Tu na kar gayi ni,
Kiwe khud nu samjhawa,
Tu Meri ki lagdi,
Teri muskaan hi ta,
Mere Dil wich vasdi,
Yaad kara mai tennu,
Jagde sonde hasde Ronde,
Fir har pal ich mere,
Sapne naal tere ne honde,
Jaan da wa mai wi,
Tu chaundi mainu hi,
Sadi eho gal kade wi,
Aapa kise nu na dassi,
Je darde wi ta ki dasde,
Sanu kise to ki lena,
Jad har pal har mod te,
Sanu ik duje sang rehna,
Apa jaande aa eh gal,
Puri kar ke wakhawange,
Naal tere mai,
Naal mere tu,
Har khushi manawange,
Enj karde karde apa,
Khushiyaan wakhawange,
Te sabde dil nu,
Bas milaunde jawange !!!!!!!!
Sunday, 12 March 2017
Happy HOLI
Rangoon ka tyohar ho,
Khushiyon ki Bauchaar ho,
Sabke saath hamesha,
Apno ka pyaar ho,
Khaye sab pakwaan saare,
Sab ke dil par chaayein saare,
Holi ke is utsav par,
Har gham ko bhulaayein saare,
Dua rahe yeh har ek ki,
Ki koi na rahe akela,
Sab ke saath mil kar khele,
Saare yeh rangoon ka mela,
Dil se dimag se,
Har ek hisaab se,
Bhari rahein akhiyaan sabki,
Khushiyoon ke hi khwaab se,
Na koi zyada,
Na koi kam,
Sab sang khush,
Rahein sab hum,
Isse zyada aur kya kehna,
Sabki, yaadon, mein khush rehna,
Nikle, sabke, bure vichar,
Aaye bas khushiyon ki Bauchaar,
Mubarak ho sab ko,
Yeh HOLI ka TYOHAAR!!!!!!!