Sunday, 23 February 2020

Aage badhta jaa

Apne Kal ko tu bhool ja

Bina Kuchh soche samjhe

Bass aage badh ja

Apne Kal ko tu bhool ja

Bina Kuchh soche samjhe

Bass aage badh ja

Bhool ja badh ja

Bhool ja badh ja

Par Bina bat kiye koi

Sab see aage badh ja

Mana tune bada Kuchh Saha hai

Par har Barr tu khoob Lada hai

Is pall ki aukaat Kya Jo

Tujhko rook payega

Kaun paida hua hai Aisa

Jo tujhe thook jayega

Teri yaadein Teri baatein

Tujhe hamesha bachati hain

Har airi Gehri bakwas see

Tujhe samjhati aur bachati hain

Hai Kya aur kaun Jo

Tera Dil dukhate hain

Kaun hai Jo Baar Baar

Tere Dil Ko YU hi sataye hain

Aur tu Masoom ban Kar

Sab Kuchh sehta jaata hai

Kyo nahi tu deta Jawab

Kiss se itna dar jata hai

Dil ke har khwaab ko

Kyo Dil mein daba Kar rehta hai

Jaha Kuchh kehna nahi chahiye hota

Wahi Kyo utla kehta hai

Par dastoor is duniya ka

Tujhe hamesha sikhata hai

Jiske paas aane ki sooche

Wahi Kyo dur tujhse jaata hai

KYA aisa bas tere sath hi

Hona hota hai har baar 

Kyo raha tu sab ke liye badhiya 

Aur sab tere liye bekaar 

Chah leta tu bhi khuddari

TOH na hota tera samay bekaar 

Na peeni padhti kabhi daaru 

Na karna padta alcohol se pyaar

Par Kyoko ane Bana chuka hai

Daaru apna sacha yaar

Khud se kehta rehta hai 

Kaisa koi yar aur kya hai Pyaar