Bhaad mein jaaye duniya daari,
Jab saath nahi hai yaari,
Jo thi Sab set pyaari, usne ,
Mujhse hi kar dii gaddarri,
Toh Kis ke liye hai jeena,
Kitne log hain pyaare,
Meri wajah seh kabhi jo,
Pareshaan hue hoon bechaare,
Aaj kii date mein koi nahi hai,
Jisne hoo saath nibhaya,
Ha par aise Bohot hain jinhone,
Aakhri Dam par hai mujhko sataya,
Nam unka Lunga nahi mai,
Itna toh mai khuddar hoon,
Jiska koi bhi nahi rehta,
Uska hota mai yaar hoon,
Jisko mai aaj tak nahi janta,
Kisi Aisi ka mai pyaar hoon,
Kya kehna uska bhi yaaro,
Jo lagti hai mujhko pyaari,
Sapno mein aati hai Jo kabhi kabar,
Jisse hui meri koi mulaqat nahi,
Kya kehna Aisi zindagi ka,
Jisme saath koi yaar nahi,
Lagti hai Badi ghisi piti si zindagi,
Jaha lagti hai har jagah lachari,
Kya Maza hai aise Jeene ka,
Jab saath Na hoo koi yaari....