Jeena bhi akele hai,
Marna bhi akele hai,
Tujhe Sab see ghut ghut ke,
Darna bhi akele hai,
Kya khaak yeh zindagi hai,
Har jagah gandagi hai,
Aur usme chupi hui,
Teri bhi bandagi hai,
Na sunta tera koi yar,
Na samajhta koi rishtedaar,
Shukar hai Abhi tak kisi ne,
Kiya nahi hai pyaar,
Chala bhi jayega tu toh,
Doo pal ka afsoos hi hoga,
Kaun hai jo yeh chahe,
Tu saath hi unke hoga,
Chood ke jaana Sab kii,
Purani hi aadat rahi hai,
Aur har dam tune toh,
Bas tanhai hi sahi hai,
Chood de ummeed bhi rakhna,
Jab Jaanta yeh fasana hai,
Kyon ki tujhe toh jald hi,
Wapas bhi akele jaana hai........